Na Poch Mera Hussain Kia Hai

Author: taha / Labels:

Na poch mera hussain kia hai
Jahan e azm o wafa ka pekar
Jamal e zahra jalal e haider
Hussain insaniyat ka jhoomar
Dayar e sabr o raza ka dilbar
Hussain ehl e wafa ki basti
Hussain jashm e ana ki masti
Hussain ne zindagi bakheri
Fiza mai warna qaza barasti
Hussain dil hai hussain jan hai
Hussain quraan ki zuban hai
Hussain zainab k sar ki chadar
Hussain kalsoom ki rida hai
Na poch mera hussain kia hai

Bahesht Jin Ki Saltant Hussain

Author: taha / Labels:

Bahesht jin ki saltant Hussain wo janab hain
Baray e karbala Hussain Rab ka Intakhab hain
Hussain lajawab Thay Hussain la Jawab hain
Hussain kamyab thay Hussain kamyab hain

Bahesht Jin Ki Saltant Hussain

Author: taha / Labels:

Bahesht jin ki saltant Hussain wo janab hain
Baray e karbala Hussain Rab ka Intakhab hain
Hussain lajawab Thay Hussain la Jawab hain
Hussain kamyab thay Hussain kamyab hain

Phir Naya Saal Anay Ko Hai

Author: taha / Labels:

hir naya saal anay ko hai
Khuda karay kay ye saal gaye saal kay zakhmon pay marham rakhay
Khuda karay kay ye saal nai khushion ki navid lai
Kay beeta saal bohat say dard day gaya
Bohat payaron ko bohat apnon ko saath lay gaya
Lekin...
Wo apnay log jin kay dam say zindagi thi, muskurahatein thein
Wo yaad nahi ain gay
Kyun ke
Yad to unko kertay hain jo bhool gain
Or jo her dharkan mein bastay hon unko kaisay bhulai
Lekin
Kahin gaye saal kay malbay talay
zindagi phir muskura rahi hai
Bahar phir aa rahi hai....

Is Naye Saal Ki Pehli Subha

Author: taha / Labels:

Is naye saal ki pehli subha
Jab tumhare nain khulen
Is naye saal ki pehli ghari
Jab tumhare hath uthen
Is naye saal ki pehli khushi
Jab tumhare gale lage
Is saal ka pehla hath
Jab tumhari simt barhe
Is naye saal ki pehli soch
Jo tumhare jeevan mein nikhaar laye
To itnaa jaan lena ke koi or hath bhi
Tumhare liye uthe zaroor hain
Jis ke dil se bhi yehi dua nikli hai
Wo nain hamesha khushiyaan dekhen
Wo mangi dua pori ho jaye
Wo gum door kahin bathakte milen
Wo sath wo hath kabhi
Gum se nahi choote
Wo soch tumhare muqaddar ko
Hamesha urooh phunchaye
To kuch hamare bare mein soch lena
Ke koi hai jo na jane
Kab se tumhare bare mein
Barsoon se soch raha hai
Han
in aate jate saloon
Haseen sooraj ke nikalne
To kahin shaam ke dhalne mein
Har pal haseen lamhon mein
Tumhain koi soch raha hai

Ab Ke Saal Kuch Aisa Karna

Author: taha / Labels:

Ab ke saal kuch aisa karna
Apney pichley bara maah ke
Dukh sukh ka andaza karna
Bisri yaadein taza karna
Sada sa ik kagaz ley kar
Bhooley bisrey pal likh lena
Phir iss beetey ik ik pal ka
Apney guzrey ik ik kal ka
Ik Ik mour ka ihata karna
Sarey dost akatha karna
Sare subhein hazir rakhna
Sare shamein paas bulana
Aur alawa in ke dekhoo
sarey mausam dheyaan mein rakhna
Ik ik yaad gumaan mein rakhna
Phir mohtaat qiyaas lagana
Gur to khushiyaan barh jati hain
Tu phir tum ko meri taraf se yeh saal mubarak
Aur agar gham barh jaye to
MaTt bekaar takaluf karna
Dekho phir tum aisa karna
Meri khushiyaan tum ley lena
Mujh ko apney ghum dey dena
Ab ke saal kuch! aisa karna...!!

Hai Tamnaa Ke Saal-e-Nou

Author: taha / Labels:

Hai tamnaa ke saal-e-nou tujh ko
Har musarat se hum kinaar karey
Khil uthein phool tere aangan mein
Tuu agr khuwahish-e-bahaar karey
Mustkurahat laboun pe ho raqsaan
Sara aalm tujh hi sey piyar karey
Tujh se har ranj door hojaye
Har khushi tujh pe jaan nisaar karey
Tere aanagn mein qaafley utrein
Jhilmilatey hoye sitaroun key
Ho key bey ikhteyaar uth jayein
Teri janib qadam bharoun key
Har nayi subha tere daman mein
Chahatoun key gulaab bhr jaye
Har haseen shaam apni raanayi
Tere khuwaboun key naam kr jaye
Dekh k tere rukh ki shadaabi
Rang-e-qous-e-qizah nikhar jaye
Muskurati sdaa hayaat rahey
Tere qadmoun mein kayinaat rahey
Gam na dil mein kabhi ujagar ho
Shaadmani tera muqadar ho
Aaney waley dino ki tabani
Janey waley dino sey barh kr ho...!!!

Fb