Chand Jalta Raha

Author: taha / Labels:

Meri aankhon me aansu pighalta raha, chand jalta raha
Teri yaadon ka suraj nikalta raha, chand jalta raha

Koi bistar pe shabnam lapete huye khawab dekha kiya
Koi yaadon ke karwat badalta raha , chand jalta raha

Meri aankhon me campus ki sab saa'atein jaagti hai abhi
Neher par tu mere saath chalta raha, chand jalta raha

Mai to jaanta hu ke jis shab mujhe chhor kar tum gaye
Aasmanon se shola nikalta raha, chand jalta raha

Raat aayi to kya kya tamashe huye tujh ko kya maloom ?
Teri yaadon ka suraj ubalta raha, chand jalta raha

Raat bhar meri palkon ki dehleez par khawab girte rahe
Dil tarapta raha, haath malta raha, chand jalta raha

Yeh December ke jis me kadi dhoop bhi meethi lagne lage
Tum nahi to yeh December sulagta raha, chand jalta raha

Aaj bhi woh taqaddus bhari raat mehki huyi hai ~Wasee~
Mai kisi me, koi mujh me dhalta raha, chand jalta rah...

0 comments:

Post a Comment

Fb