Showing posts with label December. Show all posts
Showing posts with label December. Show all posts

Chand Jalta Raha

Author: taha / Labels:

Meri aankhon me aansu pighalta raha, chand jalta raha
Teri yaadon ka suraj nikalta raha, chand jalta raha

Koi bistar pe shabnam lapete huye khawab dekha kiya
Koi yaadon ke karwat badalta raha , chand jalta raha

Meri aankhon me campus ki sab saa'atein jaagti hai abhi
Neher par tu mere saath chalta raha, chand jalta raha

Mai to jaanta hu ke jis shab mujhe chhor kar tum gaye
Aasmanon se shola nikalta raha, chand jalta raha

Raat aayi to kya kya tamashe huye tujh ko kya maloom ?
Teri yaadon ka suraj ubalta raha, chand jalta raha

Raat bhar meri palkon ki dehleez par khawab girte rahe
Dil tarapta raha, haath malta raha, chand jalta raha

Yeh December ke jis me kadi dhoop bhi meethi lagne lage
Tum nahi to yeh December sulagta raha, chand jalta raha

Aaj bhi woh taqaddus bhari raat mehki huyi hai ~Wasee~
Mai kisi me, koi mujh me dhalta raha, chand jalta rah...

Akhri Chand Din December Kay

Author: taha / Labels:

Akhri chand din december kay
Har baras hi giraan guzartay hain
Khawahisho kay nigaar khanay se
Kaise kaise gumaan guzarta hain
Ruftgaan kay bikhray saayon ki
Aik mehfil si dil main sajti hai
Kitnay number pukartay hain mujhay
Jin se marboot bay nava ghanti
Ab fakat mere dil main bajti hai
Kis qadar pyaaray pyaaray naamon per
Raingti badnumaan si lakeerein
Meri aankhon main phail jaati hain
Dooriyaan dairay banati hain
Dihaan ki serrhiyon per kia kia aks
Mashalein dard ki jalatay hain
Naam jo kat gaaye hain unkay hurf
Aisay kaghaz per phail jaatay hain
Hadsay kay muqaam per jaisay
Khoon sukhtay nishano per
Chawk se linay lagatay hain
Phir December kay akhiri din main
Har baras ki tarhaan ab kay bhi
Diary aik sawaal karti hai
Kya khabar uskay aagay tak
Meray un bay chiraagh safon se
Kitnay hi naam kat gaye hongay
Kitnay number bikhar kar raston per
Gard-e-maazi se aat gaye hongay
Khak kay adhairon kay daman main
Kitnay toogaan simat gaaye hongay
Har December main sochta hun
Aik din is tarhaan bhi hona hai
Rang ko roshni main khona hai
Apnay apnay gharon main rakhi hui
Diary dost dekhtay hongay
Un aankhon kay khak daano main
Aik sehra sa phelta hoga
Aur kuch be nishaan safhon say
Naam mera bhi kat gaya hoga!

Ye Sard Shamain Ye Zard

Author: taha / Labels:

Ye sard shamain ye zard pattay
Ye mereqadmon main larkharahat
Guzarti saat ke in palon main
Main jis ki chahat ko khojta hoon
Wo ja chuka hay meheeno pehlay
Tapish thi jis ki lahoo main mere
Wo is december main ruk gayee hain
Boht hay mushkil ke ab ho aisa
Ke mujh pay ab kay ye saal guzray..

Humare Hal Per Roya DECEMBER

Author: taha / Labels:

Humare hal per roya DECEMBER
Woh dekho toot ker barsa DECEMBER
Guzar jata hai sara saal yun toh
Nahi katta magar tanha DECEMBER
Bhala barish se kya sarab ho ga?
Tumhare wasal ka payasa DECEMBER
Woh kab bichra? nahi aab yaad lekin
Bas itna illm hai ke tha DECEMBER
Yun palkein bheegati rehti hain aise
Meri aankhon main jaise aa thehra DECEMBER
Jama ponjhi yehi hai umer bhar ki
Meri tanhai aur mera DECEMBER
Sabab na pooch mere aanson ka
Hai pehle hijr ka pehla DECEMBER
Main inn yaadon se bach k jaon kaise
Ke mellon dor hai phela DECEMBER
Meri aankhon se ger deko toh jano
Ke hai barsaat main jalta DECEMBER
Abhi tak kohr main dooba hai aangan
Abhi tak yaad hai pechla DECEMBER

Lambay Safar Ki Oat Mein

Author: taha / Labels:

Lambay safar ki oat mein pal bar nahi ruka
Mein waqt ke fareeb mein aa kar nahi ruka
Phir aa gaya aik naya sal dosto...
Is bar bhi kisi say december nahi ruka
Lay kar kisi nain haath mein kashkol-e-waqt
Aisa safar kia ke kahin per nahin ruka
Manzar kay aks mein koi chera chatakh gaya
Sheshay kay pas aa kay jo pathar nahin ruka
Chalta raha adoo ki safin rondta howa
Lakhon ka khoun-e-jigar kar ke bhe lashkar nahi ruka
Bas yeh howa ke Akhri lamha bi aa gaya
Dil ka tawaf koocha-e-dilbar nahi ruka...

Usse Kehna December Lot Aaya

Author: taha / Labels:

Usse kehna. . .
December lot aaya hay !
Hawaein sard hain aur vaadiyn bhi dhund mein ghum hain!
Paharo ney baraf ki shaal
phir sey orh rakhi hay!
Sabhi raste tumhari yaad mein purnam sey lagte hain!
Jinhe sharf-e-musafat tha!
Wo saare cards, wo perfume, wo choti se diary!
Wo teris, wo chaye, Jo hum ne sath me pee thi!
Tumhari yaad laaty hain!
Tumhe wapis bulate hain!
Usse kehna kay dekho yun satao na!
December lot aaya hay!

Bay Qarar Mausam Mein

Author: taha / Labels:

Bay qarar mausam mein
Yaad ke jharokon se
phir tumhi se milnay ki
Dil mein kitni khawahish hai
Jo udaas rakhti hai
Aaj kal December ki
Phir udaas shaamein hain
In ujaar aankhon mein
Zard zard raatein hain
Barishon ke mausam mein
Toot phoot jata hoon
Jab bhi yaad aatay ho
Khud ko bhool jata hoon

Fb