Showing posts with label Yaadain. Show all posts
Showing posts with label Yaadain. Show all posts

Jab Yaad Ka Qissa Kholoun Tau

Author: taha / Labels:

ab yaad ka qissa kholoun tau, kuch dost bahaut yaad aate hain
Main guzre pal jo sauchoun tau, kuch dost bahaut yaad aate hain

Ab jaane kaunsi nagri mein, abaad hain ja kar muddat se
Main raat gaye tak jaagoun tau, kuch dost bahaut yaad aate hain

Kuch baatein thein phoolon jaisi, kuch lehje khushboo jaise thay
Main shehre chaman mein tehloun tau, kuch dost bahaut yaad aate hain

Woh pal bhar ki naaraazgiyan,aur maan bhi jaana pal bhar mein
Ab khud se jab bhi roothoun tau, kuch dost bahaut yaad aate hain

Kuch Yaadaun Hain Un Lamhon Ki

Author: taha / Labels:

Kuch yaadaun hain un lamhon ki
Jin lamhon main hum saath rahe
Khushion se bhare jazbat rahe
Ik umar guzari hai hum ne
Jahan rote hue bhi hum hanste thay
Kuch kehte thay kuch sunte thay
Hum roz subha jab milte thay
To sab k chehray khilte thay
Pur lutf wo manzar hota tha
Sab mil kar baatain karte thay
Hum socho kitna hanste thay
Wo goonj hamare hansne ki
Ab aik purani yaad rahi
Yeh batain hain un lamhon ki
Jin lamhon main hum saath rahe..........

Aj Phir Yaad-e-Watan Tuney Rulaya

Author: taha / Labels:

Aj phir yaad-e-watan tuney rulaya hai mujhey
Des ki yaad ney pardesi banaya hai mujhey
Goad mai maa ke rakhoon saar mai tarapta hoon bohat
Dant abba ki miley mujhko mai tarasta hoon bohat
Bhai bhenoo ki shararat mujhe yaad ati hai
Ghar ki bailoon se mohabbar mujhe yaad ati hai
Dost gherey howe rehtey thai hamesha mujhko
kerdia hai meri takdeer ne tanha mujhko
Gardish-e-waqt ne pardes dikhaya hai mujhe
Aj phir yaad-e-watan tuney rulaya hai mujhey
Dhool urata mer bachpan nahi milta mujhko
Taaptey jhuloon ke woh saawan nahi mlta mujhko
Ishq mai duubi hawaoon se buhat durr hoon mai
Husn-e-laila ki adaaoon se buhat durr hoon mai
Koi chera jo shana sa yahan miljata hai
Chaand weraan si aankhoon mai utar ata hai
Esa lagta hai merey ghar ne bulaya hai mujhe
Aj phir yaad-e-watan tuney rulaya hai mujhey
Akey pardes mai pheeki howi meethi eidain
Pair ki yaad ne jhulsa di meri umedein
Deep diwali ke jaalte meri aankhoon mai
Meley sawan ke machalte hai meri aankhoon mai
Aj bhi pairoon se lipti hai watan ki mitti
Yeh meri jism yeh mere chaman ki mitti
Durr kiun apni fazaoon se basaya hai mujhe
Aj phir yaad-e-watan tuney rulaya hai mujhey
Jaab watan se koi chitthi mere naam ati hai
Raushini mere ehsaas mai lehrati hai
Ek ek harf chamakta hai sitara ban ker
Dharasein deta hai har dil ko sahara ban ker
Likhne wala mujhe kaghaz pe nazar ata hai
Ban ke khushboo meri saanson mai sama jata hai
Esa lagta hai ke milne koi aaya hai mujhe
Aj phir yaad-e-watan tuney rulaya hai mujhey
Aj yaadoon mai gheera soch raha hoon itna
Aur jeewan ka yeh banwas hai baki kitna
Raas ayeingi mujhey ghar ki fazaien kis din
Hongi makbul mere dil ki duaein kis din
Kab mera ghaar mujhe lootayegi kismat meri
Kab meri bahoon mai mehke gi mohabbat meri
eIn sawalat ke shoolon ne jalaya hai mujhe
Aj phir yaad-e-watan tuney rulaya hai mujhey...

Ye Daulat Bhi Le Lo, Ye Shohrat Bhi Le Lo

Author: taha / Labels:

Ye daulat bhi le lo, ye shohrat bhi le lo
Bhale cheen lo muJhse meri jawaani

Magar muJhko lauta do bachchpan ka saawan
Wo kaagaz ki kasthi wo baarish ka paani

Mohalle ki sabse nishaani purani
Wo burhiya jise bachche kehte the naani

Wo naani kee baaton mein pariyon ka dera
Wo chehre ke Jhuriyon mein sadiyon ka phera

Bhulaaye nahi bhool sakta hai koi
Wo choti see raaten wo lambi kahaani

Kari dhoop mein apne ghar se nikalna
Wo chiriya wo bulbul wo thithli pakarna

Wo guriya ki shaadi pe ladna jhagadna
Wo jhoolon se girna, wo gir ke sambhalna

Wo pithal ke challon ke pyaare se thofe
Wo tuti hui churiyon ki nishaani

Kabhi rait ke oonche tilon pe jaana
Gharonde banana, banaake mitaana

Wo maasoom chaahat ki tasveer apni
Wo khwabon khilono ki taabir jaageer apni

Na duniya ka gham tha na rishton ke bandhan
Bari khoobsoorat thi wo zindgaani..

Kitni Masum Thi Zindagi

Author: taha / Labels:

Kitni masum thi zindagi
Na dil me mael aur na chehre pe mukhote the
Kitni masum thi zindagi jab hum chote the
Sun le koi mere dil ki thodi si daastaan
Waqt kisi ke paas itna bhi aaj kahan
Sine se laga lete the daud kar sabhi
Pehle kabhi jab hum jab choti si baat pe rote the
Kitni masum thi zindagi jab hum chote the
Ab to pyar dekar bhi mohabbat nahi milti
Waqt to milta hai magar fursat nahi milti
Ek raatein hain ye jo neendo se naata hi tod chuke
Ek din the wo jab hum bade sukuun se sote the
Kitni masum thi zindagi jab hum chote the..

Fb