Showing posts with label Duaa. Show all posts
Showing posts with label Duaa. Show all posts

Yeh Dua Hai Meri

Author: taha / Labels:

Yeh duaa hai meri tumharay liye
Meray hath uthay
Meray hath hilaein
Mere dil se
yeh awaz uthi
Teray hontoon ki hansi
Teri ankhoon ki chamak
Tujhy zindai say

Itna Pyar mile
ke ghamoon ki dhoop tujhai choo na sake

Mera Lafz Lafz Dua Dua

Author: taha / Labels:

Mera lafz lafz dua dua,
Mery aansuon se dhula hua,
Tujhay zindagi k woh sehar miley,
Tujhay mohabbaton ka safar miley,
Tujhay dard-o-gham na kabhi choo sakay,
Yeh dua hai koi gila nahi
Tujhay zindagi main wo sakoon milay,
Jo kisi ko kabhi mila nahi !

Duaa Hai k Teri Zindagi Mai

Author: taha / Labels:

Duaa hai k teri zindagi mai kabhi gham na ho
Duaa hai k teri muskurahat kabhi kam na ho
Agar kabhi palko mai teri aanso aaye
Tou dua hai k kabhi us ki wajah hum na ho

Har Dum Karoon Yaad Aap Ko

Author: taha / Labels:

Har dum karoon yaad aap ko duaon mai
Aap sada khush raho mohabbat ki chaon mai
Izzat ho aap ki sab ki nigahon mai
Koi gham na mile aap ko zindagi ki rahon mai

Ae Mery Rub!

Author: taha / Labels:

Ae mery Rub!
Mujhy t0 sirf teri Khushi Chahiye,

Dard Kaisa B H0
Bandagi Chahiye,
Duniya Ki
K0i Khwahish
Nahi,

Aakhrat Ki Bs
Zindagi Chahiye,

Sirf Tere He Aage
Haath Phela0n
Aesi Mujhe Bebasi
Chahiye,

Tu H0 Jaye Razi
Sanwar Jaun
Main,

Mere Malik Teri raza ki
Aagahi Chahiye,

Main Jhukun
aur Bus
Jhuka He Rahun,

IBadat Me Bus
aisi Aajizi Chahiye,

Main Bhatak Jaun
agr Tu Sahara
Muje de

Aesi Muje Teri
Rehbari Chahiye.

Duaa Hai Raho Aabad Iss Tarha

Author: taha / Labels:

Dua hai raho aabad iss tarha
Chaman mayn ho phool shadab jis tarha
Chand tumhayn daykhnay aya karay yahan
Sitaray iss nazar k chamkayn tumara pass
Khusiyan tumara pass say jayin na kabhi
Tum bhol jao gham ko kuch iss tarha
Tum soch lo wo ankhain,daykh lo samandar
Shayad mil jaya pyaar ki gehrayi iss tarha
Jis main na ho nami, bas roshni rahay
Bas rahoo hamesha uss aankh ki tarha
Soocho bhi jiss ka tum, tumain mil jay
Dua hai rakhay Khuda tumayn abad iss tarha

Waqt-E-Dua Main Ek Duaa

Author: taha / Labels:

Waqt-e-dua main ek dua karon,
Main rab se ek eltija karon,
Tu khush rahe,
Tu shaad rahe,
Teray dil ka angar abaad rahay,
Tu har pal yun hi hansa kare,
Tu phulon ki manind khila kare,
Teri zindagi main koi ghum na ho,
Teri aankh kabhi num na ho,
Tujhey kisi se koi gila na ho,
Koi dukh tujhey mila na ho,
Teri rad kabhi dua na ho,
Tere lab py koi sada na ho,
Tujhey bin mange wo ataa karay,
Teri maaf her ek khata karay….

Khoab Sary Khial Sary

Author: taha / Labels:

Khoab sary khial sary,
Haqeeqton ka libada orhy,
TUmhari hasti sanwar jain,
Chand, soraj, ye sary tary,
Chirag jitny bhe jal rhy hain,
Tumhary chehray kay rang dekhain to har jain,
Behti nadya, charhaty darya,
Ye gehra sagar,
Jheel jaharny,
Ye Aabsharain,
Apna jeewan tumhari aankhon pe war jain,
Rung khushbo,
Gulab sary,
Muhabbaton kay nisab sary,
Sb tumhari Balain lay lain,
Nazar tumhari utar jain.

Fb